Donations are essential to keep Write Out Loud going    

Aik Nazm

Bus chand lamho ki hoti hai koi kahani,

Bandh muthi se reit fisley girta jab pani,

Nazroo ka qasoor ya baat dilchasp purani,

Koi kabhi azeez lagta khoobsurat nishaani,

Guzrey khayalo ko aksar jab sochta hu…

Thoda hassta hu aur thodey se aansu pochhta hu!!

 

Khwaabo ka mahal bante der nahi laga karti,

Khwaab bhi ajeeb kitne, khwaabo ki duniya thaga karti,

Khwaab khwaab me hi saqoon bhi aur aankhe jaga karti,

Khwaab ke bharam toot te jab to zindagi kaisa dhaga karti,

Khwaabo ko yaqeen me diya hota badal, jab sochta hu…

Thoda hassta hu aur thodey se aansu pochhta hu!!

 

Rutba zindagi ka meri alag hai, shumaar kahi aur,

Dil ki dhadkane ho jaati jab pecheeda, karna padta hai gaur,

Samajh ke dil ka maamla daba dena padta hai wo shor,

Na daba de us shor ko to aagey lagta hai bahut zor,

Do rahey aayi jab nazar aur jawaab ghum, jab sochta hu…

Thoda hassta hu aur thodey se aansu pochhta hu!!

 

Kyu aksar aisa hota hai koi lagne lagti hai mehjabeen?

Dhadkan jaise khamosh ho jati hai nahi hota khud par yaqeen,

Zulfoo me wo haath daalti aksar to khoobsurat behtareen,

Gulaabi libaas me pari Jamaal, haya tabassum haseen,

Kyu mai dekhta reh gaya aur kuch na kaha, jab sochta hu…

Thoda hassta hu aur thodey se aansu pochhta hu!!

 

Mai ne aksar suna tha hosh-o-hawaas ghum hota hai,

Achanak mulaqaat jab hoti hai to bahut kuchh hota hai,

Qasoor mera tha shayad ya fir kuchh aisey hi hota hai,

Uski sharabi aankhey thi ya wahi hota jo hona hota hai,

Uss aawaaz ki haseen numayish me dooba, jab sochta hu…

Thoda hassta hu aur thodey se aansu pochhta hu!!

 

Badi der tak aasmaan ke sitaaro ko mai ginta raha,

Khayaal unka mere junoon par is qadar chhaya raha,

Har sitara uski shaqal me mujh par hassta raha,

Aur mai uski bemissal saadgi pe marta raha fasta raha,

Woh ajeeb khayal aaya kyu kaise, jab sochta hu…

Thoda hassta hu aur thodey se aansu pochhta hu!!

 

Kashish Aisi, Rahey Unkey Nazdeek Aitbaar,

Kudrat Aapki Rehnumayi, Umar Nek Abraar,

Kaifiyat Aqsar Roohani, Ulfat Naram Auzaar,

Karey Aarzoo Rahem, Unki Nazaqat Aabshaar,

Unkey chehrey se nazar nahi hat-ti, jab sochta hu…

Thoda hassta hu aur thodey se aansu pochhta hu!!

Hindi Song

◄ WhatsApp DPs

Intoxication To My Greed! ►

Comments

No comments posted yet.

If you wish to post a comment you must login.

This site uses cookies. By continuing to browse, you are agreeing to our use of cookies.

Find out more Hide this message