Donations are essential to keep Write Out Loud going    

Tumhe Dekh Ke Aaj Meri Ankh Muskurayee (Hindi)

Tere daaman par girey they chheentey muktalif rang ke

Chehrey par thi khili muskurahat aik alag dang se…

Tum se aa rahi thi sada kuchh suhani kuchh ruhani;

Rango me bheegey they lag rahe kuchh malang se…

Iss roop me tumhe dekh kar koi purani yaad aayi;

Tumhe dekh ke aaj meri aankh fir muskurayee!

 

Iss tarah nahi dekhi thi kabhi shayad mai ne gour kiya nahi,

Safeid resham me jis tarah khili mai ne tumhe dekha hi nahi,

Tawajju mera har haal me shaayad aur kahi hota tha pehle;

Jis tarah tum pesh aayi ho aaj, mai ne aisa kabhi socha hi nahi…

Iss roop me tumhe dekh kar koi purani yaad aayi;

Tumhe dekh ke aaj meri aankh fir muskurayee!

 

Masoomiyat se bhara chehra tumhara kuchh aahista se keh gaya,

Annkho me tumhare kaajal ki khushbu iss tarah simat ke reh gaya,

Jhumke tumhare hiltey rahe, mosiki khoobsurat karte rahe;

Ankhey karne lagi baatey kai, mujhko dikhi unme lekin haya…

Iss roop me tumhe dekh kar koi purani yaad aayi;

Tumhe dekh ke aaj meri aankh fir muskurayee!

 

Yeh rang anokha tumhara jaane kis kis ki jaan le leiga,

Jo koi dekh le yeh khubsurti wo yaqeenan kuchh kar baithega,

Pariyo si teri shaqal chehrey par mahtaab utar aaya ho…

Tum se huvi jiski dillagi wo dil lagi me dil ko kho aayega…

Iss roop me tumhe dekh kar koi purani yaad aayi;

Tumhe dekh ke aaj meri aankh fir muskurayee!

 

Rang chheento ka utra hi tha aur sarso ki phoolon ne di dastak

Uss peele libhas me tum lag rahi thi haseen paanv se sar tak,

Paristaan ka noor tha jo tum par iss qadar chhaya tha….

Husn-o-jamaal ki mallika tum ya meri aankho me aaya koi farak…

Iss roop me tumhe dekh kar koi purani yaad aayi;

Tumhe dekh ke aaj meri aankh fir muskurayee!

beautywomanfairy

◄ Yad Esoporp!

Her Beauty Mesmerizes ►

Comments

No comments posted yet.

If you wish to post a comment you must login.

This site uses cookies. By continuing to browse, you are agreeing to our use of cookies.

Find out more Hide this message