Donations are essential to keep Write Out Loud going    

Note: No profile exists for this entry - most likely it was deleted.

ik pal!!

in kagaz key panno mey bus tera hi naam likhti hoon

soochti hoon ki kuch naya sochon, phir tumko hee sochti hoon

dil ke armaan machal rahey, in armano mey tum hee ho

kaash kabhi galti sey is taraf deykha hota, tera yeh yaar taradp kr roota raha

apni kahani bayan kari tumharey kuch khaas doston sey

sochti rahi ki tum kl aogey, ya phir, kl

is kl kl mey ik muddat guzar gai, na tumhara khat aya na tumharee deed hui

phir bhi is dil ko aas hai tumharey lautney ki, yeh intezaar maut tak chalta raheyga

jo tum aa jatey toe thorda qaarar milta, khair tumhari majburi ko salaam meyra

meri bhi majboori hai intizaar krna, meri rooh ko sirf tumhari rooh sey karrar milta

sawan beet gayey aur shadeed jardey bhi, garmi ki dhoop bhi aur ojaley bhi

lo phir laut aya sawan ik baar phir, magr tumhari hee hai ab bhi kamee see

yeh sirf tumhari soch hai, qabil naqabil yeh bus do khokhley alfaaz hain

jis khuda ney banaya hai tumko bhi aur mujhko bhi

usi ko sirf maloom hai hamara rasta bhi aur hamari manzil bhi

◄ ehsaas!!

shukriya!! ►

Comments

No comments posted yet.

If you wish to post a comment you must login.

This site uses cookies. By continuing to browse, you are agreeing to our use of cookies.

Find out more Hide this message