Donations are essential to keep Write Out Loud going    
profile image

Dil Tales

Updated: Sun, 10 Feb 2019 03:05 pm

Contact via WOL logo

Biography

I am fond of writing poems from very long time When working in such stressful century and still taking out time for working on things you like is the biggest achievement and all of us should achieve it

Samples

Ladki ho tumhe nibhana hai....... Ladkiyan Chanchal si , nazuk si Maa baap ki mannat hoti hai Hindu dharm me laxmi Toh musalmano me barkat hoti hai Lekin jab woh mana kre aise reet Riwaazon se jo unhe zabardasti apnana hai Tab unhe kaha jaata hai Tum ladki ho, tumhe nibhana hai Woh chahe ya na chahe sab bojh Uthana padta hai Har kisike khwaishon ke aage Apne khwabon ko mitana padta hai Woh chahe ya na chahe sab bojh Uthana padta hai Har kisike khwaishon ke aage Apne khwabon ko mitana padta hai Hamari marzi honi chahiye tumhare farz Ye unhe bataya jata hai Har zimmedaari uthani hai tumhe Bht choti umr se sikhaya jaata hai par jab woh mana kre ki in bin matlab Ki dor se azaadi paana hai Kehde jab woh in bin matlab ki dor se azaadi paana hai Keh diya jaata hai Tum ladki ho tumhe nibhana hai Maana khuda ne bakshi utni taqat Ki har gam seh leti hai Dukh takleef musibat har haalaat Me reh leti hai Uff nhi krti koi baat pr Qki usse har lamha badhte jaana hai Aur kr bhi de toh duniya kahegi Tum ladki ho tumhe nibhana hai Garv hai hume un logon pr jo ladkiyon ko Shaan samajhte hai Samajhte hai unki har baat ko Aur unki baaton ka maan rakhte hai Kehte hai ye tumhare hai sapne Aur hamari duaanyen hai tumhare saath Woh kehte hai ki ye hai tumhare sapne Aur hamari duaanyen hai tumhare saath Aur tumhe khud ko bulandiyon pr le jaana hai Aur tum ladki ho, apni khwaishen apne sapno ke saath tumhe hamara saath nibhana hai

All poems are copyright of the originating author. Permission must be obtained before using or performing others' poems.

Do you want to be featured here? Submit your profile.

Comments

No comments posted yet.

If you wish to post a comment you must login.

This site uses cookies. By continuing to browse, you are agreeing to our use of cookies.

Find out more Hide this message